| Singer | Piyush Mishra |
| Genre | Motivational |
| Language | Hindi |
| Album | Gulaal |
aarambh hai prachand,
bole mastako ke jhund,
aaj jung ki ghadi ki tum guhar do]- 2 times
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
aarambh hai prachand,
bole mastako ke jhund,
aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
aarambh hai prachand…
[mann kare so praan de,
jo mann kare so praan le,
wahi to ek sarv shaktimaan hai] -2 times
ishr ki pukaar hai yeh bhagwat ka saar hai,
ki yudh hi to veer ka pramaan hai,
kauravo ki bheed ho ya pandavo ka neer ho,
jo lad saka hai wo hi to mahaan hai,
jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahi,
kya zindagi hai thokaro pe maar do,
maut anth hai nahi to maut se bhi kyu dare?
yeh jaake aasmaan mein dahaad do,
aarambh hai prachand,
bole mastako ke jhund,
aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
aarambh hai prachand…
[ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunaav,
ya ki haar ka wo ghaav tum yeh soch lo]- 2 times
ya ki poore bhaal bhar jala rahe vijay ka laal,
laal yeh gulaal, tum yeh soch lo,
rang kesari ho ya mridang kesari ho ya ki,
kesari ho laal tum yeh soch lo..
jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet,
uss kavi ko aaj tum nakaar do,
bheegti nasso mein aaj, phoolti rago mein aaj,
aaj aag ki lapat ka tum baghaar do,
aarambh hai prachand,
bole mastako ke jhund,
aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
aarambh hai prachand- 3 times
hoye hoye hoye…
Aarambh is a popular hindi song performed by Piyush Mishra. The song belongs to Gulaal and has gained popularity among music lovers. Read the complete lyrics above and explore similar songs below.
Aarambh is sung by piyush mishra.
Aarambh belongs to the album Gulaal.
Aarambh is a hindi song.
Yes, you can read the complete lyrics of Aarambh online on ASOM Lyrics.
You can browse more lyrics by piyush mishra and discover related songs on ASOM Lyrics.